Ahsan Marahravi

mutmain apne yaqin par agar insan ho jae

Ahsan Marahravi

Etah, Uttar pradesh, India

1876-1940
mutma.in apne yaqīñ par agar insāñ ho jaa.e
sau hijāboñ meñ jo pinhāñ hai numāyāñ ho jaa.e
is tarah qurb tirā aur bhī āsāñ ho jaa.e
merā ek ek nafas kaash rag-e-jāñ ho jaa.e
vo kabhī sehn-e-chaman meñ jo ḳhirāmāñ ho jaa.e
ġhuncha bālīda ho itnā ki gulistāñ ho jaa.e
ishq kā koī natīja to ho achchhā ki burā
ziist mushkil hai to marnā mirā āsāñ ho jaa.e
jaan le naaz agar martaba-e-ijz-o-niyāz
husn sau jaan se ḳhud ishq kā ḳhvāhāñ ho jaa.e
mere hī dam se hai ābād junūñ-ḳhāna-e-ishq
maiñ na huuñ qaid to barbādi-e-zindāñ ho jaa.e
hai tire husn kā nazzāra vo hairat-afzā
dekh le chashm-e-tasavvur bhī to hairāñ ho jaa.e
diid ho baat na ho aañkh mile dil na mile
ek din koī to puurā mirā armāñ ho jaa.e
maiñ agar ashk-e-nidāmat ke javāhir bhar luuñ
tosha-e-hashr mirā gosha-e-dāmāñ ho jaa.e
le ke dil tark-e-jafā par nahīñ raazī to mujhe
hai ye manzūr ki vo jaan kā ḳhvāhāñ ho jaa.e
apnī mahfil meñ biThā lo na suno kuchh na kaho
kam se kam ek din 'ahsan' pe ye ehsāñ ho jaa.e
Top Urdushayar.com