mutma.in  apne  yaqīñ  par  agar  insāñ  ho  jaa.e
sau  hijāboñ  meñ  jo  pinhāñ  hai  numāyāñ  ho  jaa.e
is  tarah  qurb  tirā  aur  bhī  āsāñ  ho  jaa.e
merā  ek  ek  nafas  kaash  rag-e-jāñ  ho  jaa.e
vo  kabhī  sehn-e-chaman  meñ  jo  ḳhirāmāñ  ho  jaa.e
ġhuncha  bālīda  ho  itnā  ki  gulistāñ  ho  jaa.e
ishq  kā  koī  natīja  to  ho  achchhā  ki  burā
ziist  mushkil  hai  to  marnā  mirā  āsāñ  ho  jaa.e
jaan  le  naaz  agar  martaba-e-ijz-o-niyāz
husn  sau  jaan  se  ḳhud  ishq  kā  ḳhvāhāñ  ho  jaa.e
mere  hī  dam  se  hai  ābād  junūñ-ḳhāna-e-ishq
maiñ  na  huuñ  qaid  to  barbādi-e-zindāñ  ho  jaa.e
hai  tire  husn  kā  nazzāra  vo  hairat-afzā
dekh  le  chashm-e-tasavvur  bhī  to  hairāñ  ho  jaa.e
diid  ho  baat  na  ho  aañkh  mile  dil  na  mile
ek  din  koī  to  puurā  mirā  armāñ  ho  jaa.e
maiñ  agar  ashk-e-nidāmat  ke  javāhir  bhar  luuñ
tosha-e-hashr  mirā  gosha-e-dāmāñ  ho  jaa.e
le  ke  dil  tark-e-jafā  par  nahīñ  raazī  to  mujhe
hai  ye  manzūr  ki  vo  jaan  kā  ḳhvāhāñ  ho  jaa.e
apnī  mahfil  meñ  biThā  lo  na  suno  kuchh  na  kaho
kam  se  kam  ek  din  'ahsan'  pe  ye  ehsāñ  ho  jaa.e