sāqī-o-vā.iz  meñ  zid  hai  bāda-kash  chakkar  meñ  hai
tū  ba-lab  pur  aur  lab  Duubā  huā  sāġhar  meñ  hai
rok  le  ai  zabt  jo  aañsū  ki  chashm-e-tar  meñ  hai
kuchh  nahīñ  bigḌā  hai  ab  tak  ghar  kī  daulat  ghar  meñ  hai
dab  gayā  thā  mere  marne  se  jo  ai  mahshar-ḳhirām
kyā  vahī  ḳhvābīda-fitna  sūrat-e-mahshar  meñ  hai
jis  ko  tū  chāhe  jilā  de  jis  ko  chāhe  maar  de
vo  bhī  terī  baat  meñ  ye  bhī  tirī  Thokar  meñ  hai
dil  ke  miT  jaane  se  josh-e-ishq  ghaT  saktā  hai  kyā
dil  se  kyā  matlab  ki  ye  saudā  to  mere  sar  meñ  hai
māntā  hai  āstāñ  ko  tere  ka.aba  aur  kaun
ye  hamārā  hī  nishān-e-sajda  sañg-e-dar  meñ  hai
'ahsan'-e-āvāra-qismat  kī  na  pūchho  gardisheñ
apne  ghar  baiThā  huā  taqdīr  ke  chakkar  meñ  hai