kashish-e-husn  kī  ye  anjuman-ārā.ī  hai
saarī  duniyā  tire  kūche  meñ  simaT  aa.ī  hai
dard  ne  kho.e  hue  dil  kī  jagah  paa.ī  hai
ik  balā  sar  se  ga.ī  ek  balā  aa.ī  hai
jaañ  nisāroñ  ko  sahārā  jo  na  jiine  kā  milā
kū-e-qātil  meñ  qazā  khīñch  ke  le  aa.ī  hai
maiñ  chhupātā  huuñ  ġham-e-ishq  to  bantā  nahīñ  kaam
aur  kahtā  huuñ  to  goyā  mirī  rusvā.ī  hai
jigar  o  dil  meñ  tarāzū  na  ho  kyuuñ  nāvak-e-nāz
is  ko  donoñ  se  barābar  kī  shanāsā.ī  hai
dil  ye  kahtā  hai  vahāñ  jā  ke  sambhal  jā.ūñgā
maiñ  ye  kahtā  huuñ  ki  bad-baḳht  kī  maut  aa.ī  hai
ban  ke  nāseh  vo  ye  kahte  haiñ  mohabbat  na  karo
mujh  ko  marne  nahīñ  dete  ye  masīhā.ī  hai
sab  jise  dāġh-e-dil  o  zaḳhm-e-jigar  kahte  haiñ
vo  mire  nāḳhun-e-ġham  kī  chaman-ārā.ī  hai
kyā  hai  duniyā  meñ  numūd  aur  numā.ish  ke  sivā
zindagī  ham  ko  tamāshe  ke  liye  laa.ī  hai
ishq  rusvā-kun-e-ālam  vo  hai  'ahsan'  jis  se
nek-nāmoñ  kī  bhī  bad-nāmī  o  rusvā.ī  hai