kyuuñ  chup  haiñ  vo  be-bāt  samajh  meñ  nahīñ  aatā
ye  rañg-e-mulāqāt  samajh  meñ  nahīñ  aatā
kyā  dād-e-suḳhan  ham  tumheñ  deñ  hazrat-e-nāseh
hai  sau  kī  ye  ik  baat  samajh  meñ  nahīñ  aatā
shaiḳh  aur  bhalā.ī  se  kare  tazkira  terā
ai  pīr-e-ḳharābāt  samajh  meñ  nahīñ  aatā
saaya  bhī  shab-e-hijr  kī  zulmat  meñ  chhupā  hai
ab  kis  se  kareñ  baat  samajh  meñ  nahīñ  aatā
mushtāq-e-sitam  aap  haiñ  mushtāq-e-ajal  ham
phir  kyuuñ  ye  rukā  haat  samajh  meñ  nahīñ  aatā
rokā  unheñ  jaane  se  sar-e-shām  to  bole
kyuuñ  karte  ho  tum  raat  samajh  meñ  nahīñ  aatā
dil  ek  hai  aur  is  ke  talabgār  hazāroñ
deñ  kis  ko  ye  sauġhāt  samajh  meñ  nahīñ  aatā
kyūñ-kar  kahūñ  'ahsan'  ki  adū  dost  hai  merā
ho  nek  vo  bad-zāt  samajh  meñ  nahīñ  aatā