Ahsan Marahravi

yahan baghair-fughan shab basar nahin hoti

Ahsan Marahravi

Etah, Uttar pradesh, India

1876-1940
yahāñ baġhair-fuġhāñ shab basar nahīñ hotī
vahāñ asar nahīñ hotā ḳhabar nahīñ hotī
ḳhalish jigar meñ hai dil ko ḳhabar nahīñ hotī
chubhī hai phāñs idhar se udhar nahīñ hotī
abas hī kal ke liye iltivā-e-mashq-e-ḳhirām
qayāmat aaj hī kyuuñ fitna-gar nahīñ hotī
jo un se duur hai us ke liye haiñ chashm-e-ba-rāh
ham un ke paas haiñ ham par nazar nahīñ hotī
ajal ko rokiye kyā kah ke un ke aane tak
ki ab to baat bhī ai chāra-gar nahīñ hotī
vo aa ga.e haiñ to aañsū zarūr poñchheñge
ab aañkh kyuuñ mirī ashkoñ se tar nahīñ hotī
kamāl-e-be-hunarī se ġhanī huuñ maiñ 'ahsan'
mujhe zarūrat-e-arz-e-hunar nahīñ hotī
Top Urdushayar.com