nazzāra  jo  hotā  hai  lab-e-bām  tumhārā
duniyā  meñ  uchhaltā  hai  bahut  naam  tumhārā
darbāñ  hai  na  hai  ġhair-e-bad-anjām  tumhārā
kaam  aa.egā  āḳhir  yahī  nākām  tumhārā
dushnām  suno  de  ke  dil  ai  husn-parastoñ
ye  kaam  tumhārā  hai  vo  in.aam  tumhārā
āġhāz-e-mohabbat  hai  ho  ḳhush  hazrat-e-dil  kyā
achchhā  nazar  aatā  nahīñ  anjām  tumhārā
'ahsan'  kī  tabī.at  se  abhī  tum  nahīñ  vāqif
hai  dil  se  duā-go  sahar  o  shaam  tumhārā