kyā  zarūrat  be-zarūrat  dekhnā
tum  na  ā.īne  kī  sūrat  dekhnā
phir  ga.iiñ  bīmār-e-ġham  ko  dekh  kar
apnī  āñkhoñ  kī  muravvat  dekhnā
ham  kahāñ  ai  dil  kahāñ  dīdār-e-yār
ho  gayā  terī  badaulat  dekhnā
hai  vo  jab  dil  meñ  to  kaisī  justujū
DhūñDne  vāloñ  kī  ġhaflat  dekhnā
sāmne  tārīf  pīchhe  gāliyāñ
un  kī  muñh  dekhī  mohabbat  dekhnā
jin  ko  baaqī  hī  na  ho  ummīd  kuchh
aise  māyūsoñ  kī  hasrat  dekhnā
mirā  ḳhat  ye  kah  ke  ġhairoñ  ko  diyā
ik  zarā  is  kī  ibārat  dekhnā
aur  kuchh  tum  ko  na  aa.egā  nazar
dil  meñ  rah  kar  dil  kī  hasrat  dekhnā
sub.h  uTh  kar  dekhnā  'ahsan'  kā  muñh
aise  vaisoñ  kī  na  sūrat  dekhnā