sañg-e-dar ban kar bhī kyā hasrat mire dil meñ nahīñ
tere qadmoñ meñ huuñ lekin terī mahfil meñ nahīñ
rāh-e-ulfat kā nishāñ ye hai ki vo hai be-nishāñ
jaada kaisā naqsh-e-pā tak koī manzil meñ nahīñ
kho chuke ro ro ke ghar bāhar kī saarī kā.enāt
ashk kaise aañkh meñ ab ḳhuun bhī dil meñ nahīñ
bazm-ārā.ī se pahle dekh o nādān dekh
kaun hai mahfil meñ terī kaun mahfil meñ nahīñ
pūchhtā hai aarzū 'ahsan' kī tū kyā baar baar
tere milne ke sivā koī havas dil meñ nahīñ