ishq  karte  haiñ  to  ahl-e-ishq  yuuñ  saudā  kareñ
hosh  kā  sarmāya  nazr-e-husn-e-be-parvā  kareñ
ham  na  hoñ  lekin  zamāne  meñ  hamārā  naam  ho
aisī  hastī  chāhiye  to  mar  ke  ham  paidā  kareñ
hai  ḳhud-ārā.ī  kisī  kī  shān-e-ḳhuddārī  ke  saath
yaanī  un  ko  ham  na  dekheñ  vo  hameñ  dekhā  kareñ
dars-e-irfāñ  ke  liye  har  zarra  hai  tūr-e-kalīm
dekhne  vaale  magar  pahle  nazar  paidā  kareñ
sheḳh  ko  jannat  mubārak  ham  ko  dozaḳh  hai  qubūl
fikr-e-uqbā  vo  kareñ  ham  ḳhidamt-e-duniyā  kareñ
ek  dil  hai  ek  hasrat  ek  ham  haiñ  ek  tum
itne  ġham  kam  haiñ  jo  koī  aur  ġham  paidā  kareñ
'ahsan'-e-ranjūr  ko  duniyā  se  kyā  hai  vāsta
aap  ne  bīmār  Daalā  aap  hī  achchhā  kareñ