vo  aalam  hai  ki  muñh  phere  hue  aalam  nikaltā  hai
shab-e-furqat  ke  ġham  jhele  huoñ  kā  dam  nikaltā  hai
ilāhī  ḳhair  ho  uljhan  pe  uljhan  baḌhtī  jaatī  hai
na  merā  dam  na  un  ke  gesuoñ  kā  ḳham  nikaltā  hai
qayāmat  hī  na  ho  jaa.e  jo  parde  se  nikal  aao
tumhāre  muñh  chhupāne  meñ  to  ye  aalam  nikaltā  hai
shikast-e-rañg-e-ruḳh  ā.ina-e-be-tābī-e-dil  hai
zarā  dekho  to  kyuuñ  kar  ġham-zadoñ  kā  dam  nikaltā  hai
nigāh-e-iltifāt-e-mehr  aur  andāz-e-dil-jūī
magar  ik  pahlū-e-betābī-e-shabnam  nikaltā  hai
'safī'  kushta  huuñ  nā-pursāniyoñ  kā  ahl-e-ālam  kī
ye  dekhūñ  kaun  merā  sāhab-e-mātam  nikaltā  hai