paiġhām  zindagī  ne  diyā  maut  kā  mujhe
marne  ke  intizār  meñ  jiinā  paḌā  mujhe
is  inqalāb  kī  bhī  koī  had  hai  dosto
nā-āshnā  samajhte  haiñ  ab  āshnā  mujhe
kashtī  pahuñch  sakegī  ye  tā  sāhil-e-murād
dhokā  na  de  ḳhudā  ke  liye  nā  ḳhudā  mujhe
vo  tūl-e-umr  jis  meñ  na  ho  lutf-e-zindagī
mil  jaa.e  misl-e-ḳhizr  to  kyā  fā.eda  mujhe
duuñ  terā  saath  umr-e-ravāñ  kis  tarīq  se
āñkheñ  dikhā  rahe  haiñ  tire  naqsh  pā  mujhe
taḳhlīq-e-kā.enāt  ko  sochā  kiyā  magar
kuchh  ibtidā  milī  na  'safī'  intihā  mujhe