koī  ābād  manzil  ham  jo  vīrāñ  dekh  lete  haiñ
ba-hasrat  sū-e-charḳh-e-fitna-sāmāñ  dekh  lete  haiñ
nazar  husn  āshnā  Thahrī  vo  ḳhalvat  ho  ki  jalvat  ho
jab  āñkheñ  band  kiiñ  tasvīr-e-jānāñ  dekh  lete  haiñ
shab-e-vāda  hamesha  se  yahī  māmūl  hai  apnā
sahar  tak  rāh-e-shoḳh-e-sust-paimāñ  dekh  lete  haiñ
ḳhudā  ne  dī  haiñ  jin  raushan-diloñ  ko  dūr-bīñ  nazreñ
savād-e-kufr  meñ  vo  nūr-e-īmāñ  dekh  lete  haiñ
dil-e-betāb  kā  isrār  maane  sharm-e-rusvā.ī
bachā  kar  sab  kī  nazreñ  sū-e-jānāñ  dekh  lete  haiñ
vo  ḳhud  sar  se  qadam  tak  Duub  jaate  haiñ  pasīne  meñ
bharī  mahfil  meñ  jo  un  ko  pashīmāñ  dekh  lete  haiñ
Tapak  paḌte  haiñ  shabnam  kī  tarah  be-iḳhtiyār  aañsū
chaman  meñ  jab  kabhī  gul-hā-e-ḳhandāñ  dekh  lete  haiñ
nigāh-e-nāz  kī  mastāna  ye  nishtar-zanī  kaisī
ba-vaqt-e-fisd  ragzan  bhī  rag-e-jāñ  dekh  lete  haiñ
asīrān-e-sitam  ke  pāsbānoñ  par  haiñ  tākīdeñ
badalte  haiñ  jo  pahrā  qufl-e-zindāñ  dekh  lete  haiñ
'safī'  rahte  haiñ  jaan  o  dil  fidā  karne  pe  āmāda
magar  us  vaqt  jab  insāñ  ko  insāñ  dekh  lete  haiñ