taḌap  ke  raat  basar  kī  jo  ik  muhim  sar  kī
chhurī  thī  mere  liye  jo  shikan  thī  bistar  kī
araq  araq  haiñ  jo  garmī  se  roz-e-mahshar  kī
panāh  DhūñDte  haiñ  mere  dāman-e-tar  kī
huā  gumān  usī  shoḳh-e-sust-paimāñ  kā
agar  havā  se  bhī  zanjīr  hil  ga.ī  dar  kī
isī  taraf  tire  qurbāñ  nigāh-e-sharm-ālūd
mujhī  pe  tez  ho  ye  baaḌh  kund  ḳhanjar  kī
ḳhirām  vo  jo  hilā  de  jigar  farishtoñ  kā
nigāh  vo  jo  ulaT  de  safoñ  ko  mahshar  kī
sajā.ī  hazrat-e-vā.iz  ne  kis  takalluf  se
matā-e-zohd-o-varā  sīḌhiyoñ  pe  mimbar  kī
ubuur  bahr-e-haqīqat  se  jab  nahīñ  mumkin
kināre  baiTh  ke  lahreñ  ginūñ  samundar  kī
sunegā  kaun  sunī  jā.egī  'safī'  kis  se
tumhārī  rām-kahānī  ye  zindagī  bhar  kī