dard-e-āġhāz-e-mohabbat  kā  ab  anjām  nahīñ
zindagī  kyā  hai  agar  maut  kā  paiġhām  nahīñ
kījiye  ġhaur  to  har  lazzat-e-duniyā  hai  fareb
kaun  daana  hai  yahāñ  par  jo  tah-e-dām  nahīñ
hai  tanazzul  ki  zamāne  ne  taraqqī  kī  hai
kufr  vo  kufr  ab  islām  vo  islām  nahīñ
kaun  āzād  nahīñ  halqa-bagoshoñ  meñ  tire
naqsh  kis  dil  ke  nagīne  pe  tirā  naam  nahīñ
nā-rasīda  hai  tirā  meva-e-jannat  zāhid
puḳhta  maġhzoñ  ko  talāsh-e-samr-e-ḳhām  nahīñ
yahī  jannat  hai  jo  hāsil  ho  sukūn-e-ḳhātir
aur  dozaḳh  yahī  duniyā  agar  ārām  nahīñ
sher-goī  ke  liye  bas  vahī  mauzūñ  hai  'safī'
jis  ko  juz  fikr-e-suḳhan  aur  koī  kaam  nahīñ