jaanā  jaanā  jaldī  kyā  hai  in  bātoñ  ko  jaane  do
Thahro  Thahro  dil  to  Thahre  mujh  ko  hosh  meñ  aane  do
paañv  nikālo  ḳhalvat  se  aa.e  jo  qayāmat  aane  do
sayyāre  sar  aapas  meñ  Takrā.eñ  agar  Takrāne  do
bādal  garjā  bijlī  chamkī  roī  shabnam  phuul  hañse
murġh-e-sahar  ko  hijr  kī  shab  ke  afsāne  dohrāne  do
haath  meñ  hai  ā.īna  o  shāna  phir  bhī  shikan  peshānī  par
mauj-e-sabā  se  tum  na  bigḌo  zulfoñ  ko  bal  khāne  do
kasrat  se  jab  nām-o-nishāñ  hai  kyā  hoñge  gumnām  'safī'
naqsh  diloñ  par  naam  hai  apnā  naqsh-e-lahad  miT  jaane  do