Raza Azimabadi

abr ke bin dekhe hargiz KHush dil-e-mastan na ho

Raza Azimabadi

abr ke bin dekhe hargiz ḳhush dil-e-mastāñ na ho

tiir bārāñ hove mujh par jab talak bārāñ na ho

merī rusvā.ī ne tere husn hai numūd

jab talak shabnam nahīñ ro.e to gul ḳhandāñ na ho

tarz terī guftugū hai gavāh-e-mai-kashī

bū-e-gul aur nashsha-e-sahbā kabhī pinhāñ na ho

shaiḳh ko vo jahl hai sau baar ka.abe ke ta.iiñ

jaa.e aur aa.e va-lekin phir gadhā insāñ na ho

zikr-e-abrū-e-butāñ se kyuuñ burā maane hai shaiḳh

kyā huā kāfir tujhe qible se rū-gardāñ na ho

sach batā ai jān-e-ishq o ishq-bāzāñ kyā hai

bin tire maiñ us badan huuñ ki jis meñ jaañ na ho

yaañ se shaitān zulf-e-yār ko ham de chuke

āshiqoñ diin hai ye shaiḳh īmāñ na ho

tark-e-tāz-e-ġhamza us yahī Dar hai 'razā'

ye ġham-ābād apnā shahr-e-dil kahīñ vīrāñ na ho

Top Urdushayar.com