maiñ  hī  nahīñ  huuñ  barham  us  zulf-e-kaj-adā  se
Tuk  muñh  tirā  jo  paa.eñ  uljheñ  abhī  havā  se
tum  ne  nikālne  meñ  kuchh  kam  na  kiiñ  jafā.eñ
ab  tak  jo  tham  rahe  haiñ  ham  apnī  hī  vafā  se
pahlī  nigah  meñ  dil  par  barchhī  sī  lag  ga.ī  hai
pahuñche  the  intihā  ko  ham  us  kī  ibtidā  se
rakhnā  qadam  zamīñ  par  Tuk  dekh  kar  pyāre
dil  raah  meñ  paḌe  haiñ  lākhoñ  ke  naqsh-e-pā  se
jā  ai  tabīb  yaañ  se  itnā  nahīñ  samajhtā
bīmārī-e-mohabbat  kis  kī  ga.ī  davā  se
maiñ  āshiq-e-balā  huuñ  kartā  huuñ  us  ko  sajda
ḳhāk-e-qadam  ko  us  kī  jo  aao  karbalā  se
mash.hūr  thī  buzurgī  un  kī  sabhoñ  se  lekin
apne  ta.iiñ  ta.āruf  chandāñ  na  thā  ziyā  se
aksar  galī  se  us  kī  dekhā  thā  maiñ  ne  jaate
ho  ga.e  the  is  sabab  se  kuchh  sūrat-āshnā  se
kal  un  ko  maiñ  ne  dekhā  sar  nañge  pā-barahna
jaama  jo  hai  galī  meñ  sau  TukḌe  jā-ba-jā  se
dar-parda  yuuñ  maiñ  un  se  pūchhā  ki  qibla-e-man
kyuuñ  aaj  is  qadar  haiñ  āzurda-o-ḳhafā  se
mahjūb  se  vo  ho  kar  kahne  lage  na  pūchho
mar  jaa.eñ  yā  ilāhī  chhūTeñ  kahīñ  balā  se
ye  turfa  mājrā  hai  ik  jā  pe  dil  diyā  hai
par  qahr  haiñ  vahāñ  ke  lauñDe  zarā  zarā  se
itnī  sī  umr  meñ  ye  ayyāriyāñ  haiñ  karte
lete  haiñ  dil  ko  pahle  de  de  bahut  dilāse
jab  dekhte  haiñ  aayā  ab  iḳhtiyār  meñ  dil
jo  dekhiyo  to  phir  pesh  aate  haiñ  is  adā  se
maiñ  ne  kahā  ki  hazrat  aap  apnī  tarf  dekheñ
jo  in  butoñ  se  hogā  so  hogā  vo  ḳhudā  se
be-iḳhtiyār  ho  kar  bole  ki  sach  hai  sāhab
vāqif  nahīñ  hue  ho  ishq-e-havas-fazā  se
dariyā  ke  rahne  vaale  kyā  jāneñ  is  asar  ko
paanī  kī  qadr  pūchho  un  se  jo  haiñ  piyāse