Raza Azimabadi

mere nale par nahin tujhko taghaful ke siwa

Raza Azimabadi

mere naale par nahīñ tujh ko taġhāful ke sivā
gul nahīñ suntā kisī kā shor-e-bulbul ke sivā
tum jo kuchh chāho karo jaur-o-itāb-o-ḳhashm-o-nāz
kuchh nahīñ bantā hai āshiq se tahammul ke sivā
jo suḳhan-ras āshnā haiñ zulf-o-kākul ke tirī
un ko mazmūñ bhī nahīñ miltā hai sumbul ke sivā
kis tarah mujh se judā.ī tujh ko aatī hai pasand
qāfiya gul kā nahīñ Thahre hai bulbul ke sivā
vāste muusā ke surma tuur kā hai ai 'razā'
maiñ na duuñ āñkhoñ meñ ḳhāk-e-pā-e-duldul ke sivā
Top Urdushayar.com