Shareef Ahmad Shareef

kuchh bhi ho us se judai ka sabab ghar jao

Shareef Ahmad Shareef

kuchh bhī ho us se judā.ī kā sabab ghar jaao
Dhal chukī shaam añdherā huā ab ghar jaao
shab meñ ghus aate haiñ aaseb mire shahroñ meñ
taak meñ rahtī hai ye vahshat-e-shab ghar jaao
log haq māñgne pahuñche the shahanshāh ke paas
nok-e-ḳhanjar pe milā hukm ke sab ghar jaao
nahīñ ye zaḳhm qabīle ke liye bā.is-e-nāz
qatl ho lo kisī talvār se tab ghar jaao
un se vābasta haiñ bachpan kī hazāroñ yādeñ
chuum lenā dar-o-dīvār ko jab ghar jaao
gaañv meñ koī tumhāre liye bekal hai 'sharīf'
jaane kab tum ko ḳhayāl aa.egā kab ghar jaao
Top Urdushayar.com