Mahir Aarwi

dagh-e-dil apna kisi tarah dikhae na bane

Mahir Aarwi

Arrah, Bihar, India

1930

dāġh-e-dil apnā kisī tarah dikhā.e na bane

aur chāhūñ jo chhupānā to chhupā.e na bane

dāman-e-dil meñ vo jab chāheñ lagā deñ ik aag

ham agar chāheñ bujhānā to bujhā.e na bane

tum ko manzūr nahīñ apne taġhāful se gurez

ham pe ban aa.ī hai aisī ki banā.e na bane

uf re ye tīra-nasībī ye añdhere faroġh

diip āñkhoñ jalā.ūñ to jalā.e na bane

haa.e ye fitrat-e-husn uf vo mizāj-e-nāzuk

naaz uThānā bhī jo chāhūñ to uThā.e na bane

soch ke dījiye dīvāne ko dāman havā

ye bhī mumkin hai ki phir hosh meñ aa.e na bane

naaz hai tāqat-e-guftār pe 'māhir' ko magar

dil pe guzrī hai kuchh aisī ki sunā.e na bane

Top Urdushayar.com