Mahir Aarwi

dar aap ka hum chhoD ke ab jaen kahan aur

Mahir Aarwi

Arrah, Bihar, India

1930

dar aap ham chhoḌ ke ab jaa.eñ kahāñ aur

hai tark-e-ta.alluq meñ ḳhud apnā ziyāñ aur

āsān uThānā na thā kuchh bār-e-ḳhilāfat

juz mere uThātā bhī koī bār-e-garāñ aur

dil hai ki koī chaub-e-tar-o-tāza-o-shādāb

jab aag sulagtī hai to uThtā hai dhuāñ aur

hai fasl-e-bahārāñ meñ chaman sho.ala-ba-dāmāñ

ab dekhiye kyā hotā hai andāz-e-ḳhizāñ aur

āzādī-e-guftār-o-ḳhayālāt iz.hār

barbādī ke ab is se bhī baḌh ke haiñ nishāñ aur

jab shīsha-e-dil par mire zañgār hai aatā

kyā kahiye chamaktā hai mirā dāġh-e-nihāñ aur

maiñ shāḳh-e-samar-dār ke mānind huuñ 'māhir'

miltā huuñ kisī se to vo kartā hai gumāñ aur

Top Urdushayar.com