ruḳh  nazar  kā  kabhī  idhar  na  huā
dil  ko  hasrat  rahī  jigar  na  huā
hijr  kī  shab  to  jān-levā  thī
din  judā.ī  kā  bhī  basar  na  huā
us  ke  alfāz  dil  meñ  chubhte  haiñ
koī  fiqra  bhī  be-asar  na  huā
bazm  meñ  sau  maqām  badle  haiñ
ruḳh  tumhārā  kabhī  udhar  na  huā
vasl  likkhā  thā  merī  qismat  meñ
be-kasī  dekhiye  magar  na  huā
hijr  ne  dam  pe  ye  banā  dī  thī
ham  se  naala  bhī  rāt-bhar  na  huā
umr-bhar  us  kī  taak  hī  meñ  rahe
dhyān  apnā  idhar-udhar  na  huā
us  ke  jalve  se  thā  jahāñ  ma.amūr
ġhair  kā  zikr  bhuul  kar  na  huā
us  ko  āshiq  na  samjho  ai  'shañkar'
jo  fidā  us  ke  naam  par  na  huā