baiTh  kar  paas  na  armān-bharā  dil  dekhā
ik  nazar  duur  se  hī  us  ne  ba-mushkil  dekhā
aa.ina  dekh  ke  ḳhud  ho  gayā  bismil  dekhā
ham  ne  to  aks  ko  qātil  ke  bhī  qātil  dekhā
hijr  meñ  jiinā  to  be-shak  hai  nihāyat  dushvār
ishq  meñ  aur  koī  kaam  na  mushkil  dekhā
jaan  māñgī  thī  kahā  ham  ne  ki  tum  par  hai  nisār
us  pe  kahte  ho  ki  bas  jā  bhī  tirā  dil  dekhā
maiñ  samajhtā  huuñ  use  apnī  mohabbat  kī  kashish
tū  ne  muñh  pher  ke  bhī  mujh  ko  jo  qātil  dekhā
aap  kī  yaad  se  maiñ  to  kabhī  ġhāfil  na  rahā
aap  kahte  haiñ  tujhe  ḳhvāb  meñ  ġhāfil  dekhā
bistar-e-gul  pe  jise  dekhā  thā  sote  kal  tak
aaj  us  nuur  ke  putle  ko  tah-e-gul  dekhā
shaan  allāh  kī  gulshan  meñ  nazar  aa.ī  hameñ
kabhī  ġhunche  pe  nazar  Daalī  kabhī  dil  dekhā
umr-bhar  ḳhaak  uḌātā  rahā  sahrā  kī  magar
umr-bhar  qais  ne  lailā  kā  na  mahmil  dekhā
mil  gayā  ḳhaak  meñ  ḳhud  un  kī  hifāzat  ke  liye
shauq-o-armāñ  kā  muhāfiz  tujhe  ai  dil  dekhā
bhar  diyā  gauhar-e-nāyāb  se  ashkoñ  ne  mire
ḳhālī  phailā  huā  jab  dāman-e-sāhil  dekhā
ham  sunāne  lage  qissa  use  apnā  'shañkar'
ġhair  ke  zikr  se  jis  dam  use  ġhāfil  dekhā