Shankar Lal Shankar

aao to bahal jae mera dil-e-diwana

Shankar Lal Shankar

aao to bahal jaa.e merā dil-e-dīvāna
gulshan hai bahārāñ hai labrez hai paimāna
jab ġhaur se sunte haiñ vo ishq kā afsāna
kis tarah machaltā hai merā dil-e-dīvāna
aañkh uThne lagī terī aur sharm zarā kam ho
shīshe meñ dikhā dūñgā phir tujh ko parī-ḳhāna
is shoḳh-nigāhī kī tārīf nahīñ mumkin
laḌtī hai nazar jis se ban jaatī hai begāna
ye abr shafaq-āgūñ ye sard havā saaqī
ik aur surāhī lā ik aur de paimāna
āshiq kā abhī rutba samjhā hī nahīñ tū ne
dekhne meñ hai dīvāna matlab kā hai farzāna
vo bazm meñ aa baiThe ab sham.a bujhā diije
marne ko vo aatā hai parvāne pe parvāna
'shañkar' kī ġhazal sun kar tārīf karo dil se
sab sāñche meñ Dhalte haiñ ye qaul-e-hakīmāna
Top Urdushayar.com