Shankar Lal Shankar

bura kahne se mujhko muddaa kya

Shankar Lal Shankar

burā kahne se mujh ko mudda.ā kyā

koī pūchhe to us ne ye kahā kyā

suneñ ham bhī ki dushman ne kahā kyā

bhalā jhūTī shikāyat gilā kyā

mohabbat ye bāteñ haiñ mirī jaañ

vafā ibtidā kyā intihā kyā

na kiije mujh se ġhairoñ shikāyat

bhulā aap ne tarz-e-vafā kyā

sunā hai qais thā lailā āshiq

mohabbat ho to phir achchhā burā kyā

javānī meñ ye nādānī bāteñ

vo kahte haiñ ki va.ade vafā kyā

vafā par jaan bhī qurbāñ hai apnī

jo pūchhe ham ko us pūchhnā kyā

khile the us ke lab ġhunche sūrat

batā to do ki 'shañkar' se kahā kyā

Top Urdushayar.com