muqaddar  apnā  bargashta  muḳhālif  āsmāñ  apnā
vo  kyā  rūThā  ki  dushman  ho  gayā  saarā  jahāñ  apnā
ilāhī  ho  gayā  be-vaj.h  dushman  bāġhbāñ  apnā
kahāñ  le  jaa.eñ  gulshan  se  uThā  kar  āshiyāñ  apnā
bigaḌ  jaa.e  na  gulchīñ  hai  zamāne  kī  havā  bigḌī
banāyā  to  hai  bulbul  shāḳh-e-gul  par  āshiyāñ  apnā
fasāna  ban  ke  apnā  ishq  duniyā  kī  zabāñ  par  hai
diyā  thā  ham  ne  dil  tum  ko  samajh  kar  rāz-dāñ  apnā
vafā  kī  qadar  kyā  hotī  sitam  ke  ho  ga.e  ḳhūgar
banāyā  un  ko  dushman  ham  ne  de  kar  imtihāñ  apnā
ḳhudā  kī  zaat  par  ham  ko  to  ai  'shañkar'  bharosā  hai
balā  se  dushman-e-jāñ  ho  jo  hai  saarā  jahāñ  apnā