Shankar Lal Shankar

gulshan mein junun ka mujhe saman nazar aaya

Shankar Lal Shankar

gulshan meñ junūñ mujhe sāmāñ nazar aayā

jo phuul khilā chāk-garebāñ nazar aayā

har shai meñ tirā husn-e-daraḳhshāñ nazar aayā

jis chiiz ko dekhā mah-e-tābāñ nazar aayā

jis ne use dekhā vo giraftār-e-balā thā

tasvīr ā.īna bhī hairāñ nazar aayā

yārab koī had bhī hai pareshān-nazar

furqat meñ chaman mujh ko bayābāñ nazar aayā

gulshan meñ khile gul to havā chal ga.ī aisī

sābit na kisī bhī garebāñ nazar aayā

ā.īne meñ kyā dekh liyā kaun batā.e

zulfoñ tarah ḳhud vo pareshāñ nazar aayā

phir tuur pe jaane zarūrat hameñ kyā thī

jab aañkh uThī jalva-e-jānāñ nazar aayā

tāsīr na.ī fasl-e-bahārāñ meñ ye dekhī

dāman jagah ham ko garebāñ nazar aayā

ai ishq bahut ne to dekhā hai zamāna

mujh bhī koī be-sar-o-sāmāñ nazar aayā

hai husn sarkār meñ tausīf vafā

vo kahte haiñ 'shañkar' hameñ insāñ nazar aayā

Top Urdushayar.com