har  nazar  āshnā  nahīñ  hotī
lutf  meñ  kyā  jafā  nahīñ  hotī
vasl  kī  bhī  duā  nahīñ  hotī
ham  se  ab  iltijā  nahīñ  hotī
saarī  duniyā  ke  kaam  aate  haiñ
ek  tum  se  vafā  nahīñ  hotī
dil  meñ  ik  aarzū  hai  barsoñ  se
lafz  ban  kar  adā  nahīñ  hotī
ishq  to  ek  hī  se  hotā  hai
saarī  duniyā  ḳhudā  nahīñ  hotī
Thokaroñ  meñ  tirī  qayāmat  thī
ab  kabhī  rūnumā  nahīñ  hotī
ye  sifat  hai  janāb-'shañkar'  meñ
har  nazar  pārsā  nahīñ  hotī