Raj Bahadur Saxena Auj

ye qatra-e-shabnam nahin ai soz-e-jigar aaj

Raj Bahadur Saxena Auj

ye qatra-e-shabnam nahīñ ai soz-e-jigar aaj
Duubī huī aa.e hai pasīnoñ meñ sahar aaj
be-vaj.h nahīñ fitrat-e-shoḳhī kā guzar aaj
tum aañkh milā kar jo churāte ho nazar aaj
vo aa.e ayādat ko to aa.ī hai qazā bhī
mehmāñ hue ik vaqt meñ do do mire ghar aaj
armān nikalne diye kis soḳhta-dil kā
hai vasl kī shab bol na ai murġh-e-sahar aaj
vo ka.aba-e-dil toḌte haiñ sañg-e-jafā se
barbād huā jaatā hai allāh kā ghar aaj
har ashk ke dāman meñ hai ik manzar-e-tūfāñ
kyā Duub hī jā.egī ye kashtī-e-nazar aaj
Duubī huī nabzeñ ye pata detī haiñ mujh ko
ai 'auj' na hogī shab-e-furqat kī sahar aaj
Top Urdushayar.com