tilism-e-ishq  thā  sab  us  kā  saath  hone  tak
ḳhayāl-e-dard  na  aayā  najāt  hone  tak
milā  thā  hijr  ke  raste  meñ  sub.h  kī  mānind
bichhaḌ  gayā  thā  musāfir  se  raat  hone  tak
ajiib  rañg  ye  bastī  hai  us  kī  nagrī  bhī
har  ek  nahr  ko  dekhā  furāt  hone  tak
vo  is  kamāl  se  khelā  thā  ishq  kī  baazī
maiñ  apnī  fat.h  samajhtā  thā  maat  hone  tak
hai  isti.āra  ġhazal  us  se  baat  karne  kā
yahī  vasīla  hai  ab  us  se  baat  hone  tak
maiñ  us  ko  bhūlnā  chāhūñ  to  kyā  karūñ  'ādil'
jo  mujh  meñ  zinda  hai  ḳhud  merī  zaat  hone  tak