jo  mil  gayā  hai  yahāñ  jalva-e-ḳhayālī  hai
ye  baat  ham  ne  mohabbat  meñ  aazmā  lī  hai
ajiib  saltanat-e-ishq  meñ  nizām  milā
jo  bādshāh  nazar  aatā  hai  ik  savālī  hai
tumhārī  yaad  baḌhī  aur  dil  huā  raushan
ye  ek  sham.a  añdhere  ne  ḳhud  jalā  lī  hai
hunar  kī  aag  jalā.ī  hai  ḳhaak  se  us  ne
kamāl  us  kā  hī  hai  merī  be-kamālī  hai
sadā  ye  sochtā  huuñ  us  kā  faiz  kyā  likkhūñ
ki  merā  dost  bhī  aur  aadmī  misālī  hai
kabhī  diyā  bhī  hai  lamha  kisī  ko  chāhat  kā
to  zindagī  ne  ye  fursat  kabhī  churā  lī  hai
kirāya-dārī  vasīla  hai  apne  jiine  kā
tum  aanā  chāho  to  dil  kā  makān  ḳhālī  hai
kabhī  to  jhāñko  zarā  is  kī  aag  ke  pīchhe
ye  aadmī  ki  jo  zāhir  meñ  lā-ubālī  hai