lab  tak  aayā  gila  hamesha  se
aur  maiñ  chup  rahā  hamesha  se
sab  havāoñ  se  jañg  kartā  rahā
ek  nanhā  diyā  hamesha  se
soch  par  lag  sakī  na  pābandī
yuuñ  hī  aa.ī  havā  hamesha  se
kitnī  shakleñ  badal  ke  aatā  hai
ik  vahī  vāqi.a  hamesha  se
baat  āsūdgī  kī  hotī  hai
kaun  kis  ko  milā  hamesha  se
yaad  kartā  rahā  kisī  ko  koī
phuul  dil  meñ  khilā  hamesha  se
us  nigah  ke  sabab  se  paayā  hai
sab  ne  apnā  patā  hamesha  se
adl  fariyād  se  milā  na  kabhī
vaqt  chīḳhā  kiyā  hamesha  se
ye  fareb-e-vafā  nayā  to  nahīñ
yuuñ  hī  hotā  rahā  hamesha  se
sab  use  DhūñDte  rahe  aur  vo
yuuñ  hī  chhuptā  rahā  hamesha  se
bachche  sun  kar  kahānī  kahte  haiñ
yuuñ  hī  kaise  huā  hamesha  se
zindagī  itnī  rā.egāñ  kyuuñ  hai
kyuuñ  na  vo  mil  sakā  hamesha  se
vo  jo  dariyā  ke  biich  rahtā  hai
vahī  pyāsā  milā  hamesha  se
sab  parinde  fazā  meñ  uḌte  haiñ
jaal  bichhtā  rahā  hamesha  se
kārvāñ  rāste  meñ  chalte  rahe
rāsta  chup  rahā  hamesha  se
qīmtī  thā  havā-e-ġham  ke  liye
ek  dil  kā  diyā  hamesha  se
chhoTī  chhoTī  sī  ḳhvāhishoñ  ke  liye
koī  zinda  rahā  hamesha  se
dil  hai  kyā  chiiz  hal  huā  na  kabhī
merā  ye  mas.ala  hamesha  se
har  musāfir  ke  saath  aatā  hai
ik  nayā  rāsta  hamesha  se
aaj  tak  ye  nahīñ  khulā  aadil
kyā  huā  faisla  hamesha  se
huī  dar-asl  maat  kis  ko  yahāñ
jiit  meñ  kaun  thā  hamesha  se