Ahmad Ali Barqi Azmi

kar ke asir-e-ghamza-o-naz-o-ada mujhe

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954

kar ke asīr-e-ġhamza-o-nāz-o-adā mujhe

ai dil-navāz ne ye kyā de diyā mujhe

jaanā thā itnī jald to aayā thā kis liye

ek ek pal hai hijr sabr-āzmā mujhe

bujhne lagī hai sham-e-shabistān-e-ārzū

ab sūjhtā nahīñ hai koī rāstā mujhe

āñkheñ thiiñ farsh-e-rāh tumhāre liye sadā

tum aas paas ho yahīñ aisā lagā mujhe

ye dard-e-dil hai mere liye ab vabāl-e-jāñ

miltā nahīñ kahīñ koī dard-āshnā mujhe

kashti-e-dil sauñp diyā jis ko nazm-o-nasq

detā rahā fareb vahī nāḳhudā mujhe

rahzan se baḌh ke us ravayya thā mere saath

pahlī nigāh meñ jo lagā rahnumā mujhe

ab maiñ huuñ aur ḳhvāb-e-pareshāñ hai mere saath

kitnā paḌegā aur abhī jāgnā mujhe

kyā ye junūn-e-shauq gunāh-e-azīm hai

kis jurm milī hai ye āḳhir sazā mujhe

'barqī' na ho udaas sar-e-rahguzar hai vo

paiġhām de ga.ī hai ye bād-e-sabā mujhe

Top Urdushayar.com