Ahmad Ali Barqi Azmi

jab se mein ne dekha hai ek KHushnuma chehra

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954

jab se meñ ne dekhā hai ek ḳhushnumā chehra

tab se hai nigāhoñ meñ us chāñd chehra

sūrat aur sīrat meñ imtiyāz mushkil hai

hai har ek chehre par ek dūsrā chehra

ek aur do meñ zehn thā parāganda

aa gayā kahāñ se ye ek tīsrā chehra

bā-vafā samajhtā thā jis ko bevafā niklā

roz vo badaltā hai ik na ik nayā chehra

thā naqāb meñ ab tak be-hijāb jab dekhā

faash ho gayā āḳhir us bad-numā chehra

duur se samajhte the jis ko chāñd TukḌā

jab qarīb se dekhā thā vo khurdurā chehra

merī chashm-e-bātin se kuchh nahīñ hai poshīda

hai zabān-e-dil 'barqī' ā.ina-numā chehra

Top Urdushayar.com