Ahmad Ali Barqi Azmi

wo hasb-e-wada na aaya to aankh bhar aai

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954
vo hasb-e-va.ada na aayā to aañkh bhar aa.ī
mujhe tamāshā banāyā to aañkh bhar aa.ī
sajā ke rakhtā thā palkoñ pe jis ko maiñ aksar
nazar se us ne girāyā to aañkh bhar aa.ī
hamesha kartā thā merī jo nāz-bardārī
isī kā naaz uThāyā to aañkh bhar aa.ī
jise samajhtā thā maiñ dil-navāz jab us se
sukūn-e-qalb na paayā to aañkh bhar aa.ī
vo mujh se bhartā thā dum dostī kā lekin jab
adū se haath milāyā to aañkh bhar aa.ī
na thā ye vahm-o-gumāñ mujh ko vo bulā.egā
achānak us ne bulāyā to aañkh bhar aa.ī
nahīñ hai shikva koī dushmanoñ se ai 'barqī'
fareb dost se khāyā to aañkh bhar aa.ī
Top Urdushayar.com