Ahmad Ali Barqi Azmi

na samjhe koi us se dushmani hai

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954
na samjhe koī us se dushmanī hai
mirī ik kam-suḳhan se dostī hai
sabhī ke kaam aa.e ibn-e-ādam
yahī dar-asl husn-e-zindagī hai
jise paḌhnā ho is meñ paḌh le sab kuchh
khulī merī kitāb-e-zindagī hai
mire kis kaam kā aisā samundar
lab-e-sāhil bhī jis ke tishnagī hai
ho rūdād-e-zamāna kī jo maz.har
vahī dar-asl rūh-e-shā.erī hai
mire dil par hai jis kī hukmarānī
abhī us meñ adā-e-kam-sinī hai
hai jis kā aaj girvīda zamāna
jahān-e-rañg-o-bū ye aarzī hai
ajam kī tarah hai gūñgā arab bhī
ye us kī maslahat yā be-hisī hai
nahīñ fursat tan-āsānī se us ko
alam-añgez ye ādam-kushī hai
bapā hai hashr se pahle hī mahshar
kahīñ duḳhtar kahīñ mādar paḌī hai
koī shatranj-bāzī meñ hai mashġhūl
kisī kī jaan par apnī banī hai
duā-e-ahl-e-ġhazza sun le yārab
musībat kī ye ik aisī ghaḌī hai
unheñ hai sirf terā hī sahārā
jahāñ bhaa.ī se bhaa.ī ajnabī hai
agar is meñ ho 'barqī' ādamiyat
farishtoñ se bhī afzal aadmī hai
Top Urdushayar.com