Umair Najmi

baDe tahammul se rafta rafta nikalna hai

Umair Najmi

Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan

1986
baḌe tahammul se rafta rafta nikālnā hai
bachā hai jo tujh meñ merā hissa nikālnā hai
ye ruuh barsoñ se dafn hai tum madad karoge
badan ke malbe se is ko zinda nikālnā hai
nazar meñ rakhnā kahīñ koī ġham-shanās gāhak
mujhe suḳhan bechnā hai ḳharcha nikālnā hai
nikāl laayā huuñ ek pinjre se ik parinda
ab is parinde ke dil se piñjra nikālnā hai
ye tiis barsoñ se kuchh baras pīchhe chal rahī hai
mujhe ghaḌī kā ḳharāb purza nikālnā hai
ḳhayāl hai ḳhāndān ko ittilā.a de duuñ
jo kaT gayā us shajar kā shajara nikālnā hai
maiñ ek kirdār se baḌā tañg huuñ qalamkār
mujhe kahānī meñ Daal ġhussa nikālnā hai
Top Urdushayar.com