Mohsin Aftab Kelapuri

rah ke makkaron mein makkar hui hai duniya

Mohsin Aftab Kelapuri

Pandharkawada, Maharashtra, India

1986
rah ke makkāroñ meñ makkār huī hai duniyā
mere dushman kī taraf-dār huī hai duniyā
paak dāman thī ye jab tak thī mire hujre meñ
chhoḌ ke mujh ko gunahgār huī hai duniyā
ain mumkin hai ke bad-nām mujhe bhī kar de
merī shohrat se jo bezār huī hai duniyā
tū nahīñ thā to ye raunaq bhī kahāñ thī pahle
tere aane se hī gulzār huī hai duniyā
apnī palkoñ se jhaTakte hue kuchh ḳhvāboñ ko
le ke añgḌā.iyāñ bedār huī hai duniyā
kuchh dinoñ se ye ḳhabar guuñj rahī hai 'mohsin'
ek shā.ir kī talabgār huī hai duniyā
Top Urdushayar.com