laakh  dil  ne  pukārnā  chāhā
maiñ  ne  phir  bhī  tumheñ  nahīñ  rokā
tum  mirī  vahshatoñ  ke  sāthī  the
koī  āsān  thā  tumheñ  khonā?
tum  mirā  dard  kyā  samajh  paate
tum  ne  to  sher  tak  nahīñ  samjhā
kyā  kisī  ḳhvāb  kī  talāfī  hai?
aañkh  kī  dhajjiyoñ  kā  uḌ  jaanā
is  se  rāhat  kashīd  kar!!  din  raat
dard  ne  mustaqil  nahīñ  rahnā
aap  ke  mashvaroñ  pe  chalnā  hai?
achchhā  suniye  maiñ  saañs  le  luuñ  kyaa?
ḳhvāb  meñ  amritā  ye  kahtī  thī
in  se  koī  sila  nahīñ  beTā
dekh  tezāb  se  jale  chehre
ham  haiñ  aise  samāj  kā  hissa
laḌkhaḌānā  nahīñ  mujhe  phir  bhī
tum  mirā  haath  thaam  kar  rakhnā
vārisān-e-ġham-o-alam  haiñ  ham
ham  salonī  kitāb  kā  qissa
sun  mirī  bad-gumāñ  parī!!  sun  to
har  koī  bheḌiyā  nahīñ  hotā