ai  mirī  zaat  ke  sukūñ  aa  jā
tham  na  jaa.e  kahīñ  junūñ  aa  jā
raat  se  ek  soch  meñ  gum  huuñ
kis  bahāne  tujhe  kahūñ  aa  jā
haath  jis  moḌ  par  chhuḌāyā  thā
maiñ  vahīñ  par  huuñ  sar  nigūñ  aa  jā
yaad  hai  surḳh  phuul  kā  tohfa?
ho  chalā  vo  bhī  nīl-gūñ  aa  jā
chāñd  tāroñ  se  kab  talak  āḳhir
terī  bāteñ  kiyā  karūñ  aa  jā
apnī  vahshat  se  ḳhauf  aatā  hai
kab  se  vīrāñ  hai  andarūñ  aa  jā
is  se  pahle  ki  maiñ  aziyyat  meñ
apnī  ā.ankhoñ  ko  noch  luuñ  aa  jā
dekh!  maiñ  yaad  kar  rahī  huuñ  tujhe
phir  maiñ  ye  bhī  na  kar  sakūñ  aa  jā