ise  bhī  chhoḌūñ  use  bhī  chhoḌūñ  tumheñ  sabhī  se  hī  mas.ala  hai?
mirī  samajh  se  to  bālā-tar  hai  ye  pyaar  hai  yā  muāhida  hai
''jo  tū  nahīñ  thī  to  aur  bhī  the  jo  tū  na  hogī  to  aur  hoñge''
kisī  ke  dil  ko  jalā  ke  kahte  ho  merī  jaañ  ye  muhāvara  hai
ham  aaj  qaus-e-quzah  ke  mānind  ek  duuje  pe  khil  rahe  haiñ
mujhe  to  pahle  se  lag  rahā  thā  ye  āsmānoñ  kā  silsila  hai
vo  apne  apne  tamām  sāthī,  tamām  mahbūb  le  ke  aa.eñ
to  mere  hāthoñ  meñ  haath  de  de  hameñ  bhī  izn-e-mubāhla  hai
are  o  jāo!!  yuuñ  sar  na  khāo!!  hamārā  us  se  muqābla  kyaa?
na  vo  zahīn-o-fatīn  yaaro  na  vo  hasīñ  hai  na  shā.era  hai