shanāsā.ī  kā  silsila  dekhtī  huuñ
ye  tum  ho  ki  maiñ  aa.inā  dekhtī  huuñ
hathelī  se  ThanDā  dhuāñ  uTh  rahā  hai
yahī  ḳhvāb  har  martaba  dekhtī  huuñ
baḌhe  jā  rahī  hai  ye  raushan-nigāhī
ḳhurāfāt-e-zulmat-kada  dekhtī  huuñ
mire  hijr  ke  faisle  se  Daro  tum!
maiñ  ḳhud  meñ  ajab  hausla  dekhtī  huuñ