kyuuñ  diyā  thaa?  batā!  merī  vīrāniyoñ  meñ  sahārā  mujhe
maiñ  udāsī  ke  malbe  tale  dafn  thii,  kyuuñ  nikālā  mujhe
aisī  nāzuk  thī  ghar  ke  parindoñ  se  bhī  ḳhauf  khātī  thī  maiñ
ye  kahāñ,  kin  darindoñ  ke  jañgal  meñ  pheñkā  hai  tanhā  mujhe
ḳhvāb  TuuTe  the  aur  kirchiyāñ  ab  bhī  āñkhoñ  meñ  paivast  haiñ
ab  ye  kis  muñh  se  phir  ḳhvāb  kī  anjuman  ne  pukārā  mujhe
aaTh  tak  to  ye  gintī  bhī  āsān  thī  tū  ne  paḌh  lii,  so  ab...
calculator  pakaḌ  aur  sunā!  apnā  nau  kā  pahāḌā  mujhe
yaar  thā  tū  kabhī,  terī  nazmeñ  hamesha  salāmat  raheñ
daaġh  dene  ko  phir  ye  ridā  chāhiye  to  batānā  mujhe
bas  yūñhī  dard  kā  abr  sheroñ  kī  bārish  meñ  Dhaltā  gayā
vārisān-e-suḳhan!  koī  tamġha  nahīñ  hai  kamānā  mujhe
koī  aisā  tarīqa  batā  terī  āvāz  ko  chuum  luuñ
uff  ye  terā  ''farīha!  mirī  jān''  kah  kar  bulānā  mujhe