Hussain Majid

logon ne aakash se uncha ja kar tamghe pae

Hussain Majid

Meerut, Uttar pradesh, India

1947
logoñ ne ākāsh se ūñchā jā kar tamġhe paa.e
ham ne apnā antar khojā dīvāne kahlā.e
kaise sapne kis kī aashā kab se haiñ mehmān bane
tanhā.ī ke suune āñgan meñ yādoñ ke saa.e
āñkhoñ meñ jo aaj kisī ke badlī ban ke jhuum uThī hai
kyā achchhā ho aisī barse sab jal-thal ho jaa.e
dhuul bane ye baat alag hai varnā ik din hote the
chandā ke ham sañghī-sāthī tāroñ ke ham-sā.e
aane vaale ik pal ko maiñ kaise batlā pā.ūñgā
aashā kab se duur khaḌī hai bāhoñ ko phailā.e
chāñd aur sūraj donoñ āshiq dhartī kis kā maan rakhe
ik chāñdī ke gahne pheñke ik sonā bikhrā.e
kahne kī to baat nahīñ hai lekin kahnī paḌtī hai
dil kī nagrī meñ mat jaanā jo jaa.e pachhtā.e
'mājid' ham ne is jug se bas do hī chīzeñ māñgī haiñ
uushā sā ik sundar chehrā do naināñ sharmā.e
Top Urdushayar.com