Hussain Majid

logon ne aakash se uncha ja kar tamghe pae

Hussain Majid

Meerut, Uttar pradesh, India

1947

logoñ ne ākāsh se ūñchā kar tamġhe paa.e

ham ne apnā antar khojā dīvāne kahlā.e

kaise sapne kis aashā kab se haiñ mehmān bane

tanhā.ī ke suune āñgan meñ yādoñ ke saa.e

āñkhoñ meñ jo aaj kisī ke badlī ban ke jhuum uThī hai

kyā achchhā ho aisī barse sab jal-thal ho jaa.e

dhuul bane ye baat alag hai varnā ik din hote the

chandā ke ham sañghī-sāthī tāroñ ke ham-sā.e

aane vaale ik pal ko maiñ kaise batlā pā.ūñgā

aashā kab se duur khaḌī hai bāhoñ ko phailā.e

chāñd aur sūraj donoñ āshiq dhartī kis maan rakhe

ik chāñdī ke gahne pheñke ik sonā bikhrā.e

kahne to baat nahīñ hai lekin kahnī paḌtī hai

dil nagrī meñ mat jaanā jo jaa.e pachhtā.e

'mājid' ham ne is jug se bas do chīzeñ māñgī haiñ

uushā ik sundar chehrā do naināñ sharmā.e

Top Urdushayar.com