Mumtaz Malik

jaane kya baat hai hanste hoi Dar jate hain

Mumtaz Malik

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1971
jaane kyā baat hai hañste hoī Dar jaate haiñ
chalte chalte hue raste meñ Thahar jaate haiñ
mārne ke liye hathiyār zarūrī to nahīñ
ham to ehsās kī shiddat se hī mar jaate haiñ
naam ke apnoñ ne tā-umr kiyā hai rusvā
ab to Darte hue ham apne bhī ghar jaate haiñ
ye alag baat ki ham ḳhud hī farāmosh kareñ
kaun kahtā hai ki hālāt sañvar jaate haiñ
yuuñ na maġhrūr ho tū apnī masīhā.ī par
zaḳhm kī rasm hai ik roz ye bhar jaate haiñ
jhuuT kā saath na dene kī qasam khaa.ī thī
phir bhī tere liye ham sach se mukar jaate haiñ
kyā qayāmat kā ye ahvāl tujhe yaad nahīñ
ruuī ke gaal se patthar bhī bikhar jaate haiñ
lafz ke khel meñ māhir the kabhī ham bhī magar
ab to sadiyoñ yūñhī ḳhāmosh guzar jaate haiñ
jo diye shab meñ jale un ko sambhālo 'mumtāz'
saare chaḌhte hue sūraj to utar jaate haiñ
Top Urdushayar.com