ham  ne  thāmā  yaqīñ  ko  gumāñ  chhoḌ  kar
ik  taraf  ho  ga.e  darmiyāñ  chhoḌ  kar
dil  na  maanā  ji.eñ  kahkashāñ  chhoḌ  kar
jā  ke  baste  kahāñ  ḳhāndāñ  chhoḌ  kar
apnā  ghar  chhoḌ  kar  bastiyāñ  chhoḌ  kar
be-amāñ  ho  ga.e  ham  amaañ  chhoḌ  kar
so  ga.e  beach  meñ  dāstāñ  chhoḌ  kar
ham  alag  ho  ga.e  kārvāñ  chhoḌ  kar
kaise  nādāñ  the  ham  sab  kahāñ  aa  ga.e
apne  ābāo-jad  ke  makāñ  chhoḌ  kar
saath  chalte  rahe  ye  na  sochā  kabhī
kaun  jā.egā  kis  ko  kahāñ  chhoḌ  kar
aaj  bhī  muntazir  ham  vahīñ  haiñ  tire
kal  gayā  thā  hameñ  to  jahāñ  chhoḌ  kar
raah  apnī  nikālī  to  manzil  milī
ham  chale  jāda-e-rahbarāñ  chhoḌ  kar
hai  ye  ma.alūm  gar  jism-o-jāñ  se  ga.e
sab  chale  jā.eñge  mehrbāñ  chhoḌ  kar
gar  tumhārī  tamannā  hai  daa.im  raho
jaao  zehnoñ  meñ  raushan  nishāñ  chhoḌ  kar
tum  to  tanhā  hue  jīte-jī  hī  'adīl'
log  jaate  haiñ  tanhā  jahāñ  chhoḌ  kar