Umair Najmi

ek tariKH muqarrar pe to har mah mile

Umair Najmi

Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan

1986
ek tārīḳh muqarrar pe to har maah mile
jaise daftar meñ kisī shaḳhs ko tanḳhvāh mile
rañg ukhaḌ jaa.e to zāhir ho plastar kī namī
qahqaha khod ke dekho to tumheñ aah mile
jam.a the raat mire ghar tire Thukrā.e hue
ek dargāh pe sab rāñda-e-dargāh mile
maiñ to ik aam sipāhī thā hifāzat ke liye
shāh-zādī ye tirā haq thā tujhe shaah mile
ek udāsī ke jazīre pe huuñ ashkoñ meñ ghirā
maiñ nikal jā.ūñ agar ḳhushk guzargāh mile
ik mulāqāt ke Talne kī ḳhabar aise lagī
jaise mazdūr ko haḌtāl kī afvāh mile
ghar pahuñchne kī na jaldī na tamannā hai koī
jis ne milnā ho mujhe aa.e sar-e-rāh mile
Top Urdushayar.com