ham  apnā  aap  luTāne  kahāñ  pe  aa  ga.e  haiñ
ḳhud  apnī  qadreñ  gañvāne  kahāñ  pe  aa  ga.e  haiñ
diloñ  se  dil  mile  rahte  the  ġhurbatoñ  meñ  miyāñ
shikam  kī  aag  bujhāne  kahāñ  pe  aa  ga.e  haiñ
likhā  thā  purkhoñ  ne  sadiyoñ  meñ  jin  ko  mehnat  se
vo  saare  shajre  jalāne  kahāñ  pe  aa  ga.e  haiñ
jo  chāhte  the  rahe  apnī  zaat  tak  har  baat
vo  apne  zaḳhm  dikhāne  kahāñ  pe  aa  ga.e  haiñ
zamīñ  pe  apnī  hī  jal  bujh  ke  ḳhaak  ho  jaate
ham  apne  dil  ko  jalāne  kahāñ  pe  aa  ga.e  haiñ
ye  vo  jagah  hai  jahāñ  jism  tak  nahīñ  chhupte
ham  apne  sar  ko  chhupāne  kahāñ  pe  aa  ga.e  haiñ
kisī  bhī  rishte  kī  izzat  yahāñ  nahīñ  baaqī
miyāñ  ye  aaj  zamāne  kahāñ  pe  aa  ga.e  haiñ
ye  sach  hai  ahd-e-taraqqī  kiyā  thā  ḳhud  se  'adīl'
magar  ye  ahd  nibhāne  kahāñ  pe  aa  ga.e  haiñ